Facebook Security: Account Hack Hone Se Kaise Bachaye

Agar Aapka Facebook
par account hai to aap apne dosto se to jude rhe hi sakte hai, jese ki ham
dekhte hi hai abhi ke time me social networking site ke aesa free tarika hai
jiski madad se koi bhi uski jaankari duniya se share kar sakta hai..
Facebook par ham Apne
Friends or Family se jude rha sakte hai, or agar koi busness karte hai ya fir
koi celebrity hai to Facebook Page ya fir Facebook Group ki madad se logo se
jud sakte hai.
Facebook par crore
users roj facebook use karte hai, Me aapko bata du- facebook par 6 lakh bar har
roj galat password daalkar account ko hack karne ki kosis ki jati hai. Kuch log
hack kar bhi lete hai.. to aaj ham issi topic ke bare me baat karege or apne
account ko or sucure banayege.
Facebook Account ko
Secure kare Hacker se
Fb account hack hone
ka sabse bada karan hai hack kaise hota hai uski jaankari naa hona, to ham har
tarike ke bare me baat karege jisse hamara account hack ho sakta hai.. Ek baat
ka diyaan rakhe me aapke account ki security kaise badaye usme madad karuga,
koi mujse ye ummid naa kare ki me kisi ka account hack karu ya aapko hacking
sikaho.
1# Keep me Login par tik nahi
kare

ab bhi Fb par login
karte hai to ID or Password dal kar login karna padta hai.. Aapne dekha hoga
Keep me logged in ka option bhi rhata hai. uspar click karne ka matlab hai jab
jak aap Logout nahi karege aap login hi rahege.. Is option ka sirf apne
computer me use kare jisse aapko bar bar password dal kar login nahi karna
pade. Par agar aap Apne kisi Friends ke computer me ya fir kisi Net Cafe me
facebook chalaye to ispar kabhi click nahi kare.

2# Password Majbut Rakhe

Facebook ka password
majbut rakhe, jisko koi aasani se pata na kar sakte aapka password.. Bhut log
kya glti karte hai jo unka mobile number rhata hai usko hi facebook password
set kar dete hai. Password aesa hona chaiye jisko aap aasani se yaad rakh sako
or koi uska andaja bhi naa laga sake.
Apna Majbut Password
Kaise banaye
1. aapki koi
mandpasand chij ka aage ka naam – maan lijiye cricket hai to aap uske kuch sabd
rakh sakte hai – Cric
2. Kuch Special
Cerector bhi rakhna hai – @#$%&-! isme se kisi koi bhi
3. Number bhi istmal
kare password me uske liye, Janmdin, Gadi ka number ya fir koi bhi aesa number
rahe jo aapko jaad rahe.. jese maan lo gadi ka number rakh liya – 6756
In sabko ek sath
karke kuch is trha ka password banega @Cric@6756
Aap mene bataya is
trha se apna majbut password bana sakte hai.. ab aapka password kitna majbut
huaa usko aap Password Meter ek website hai uspar check kar sakte ho.

3#  Login Alart Enable kare

 

Apne Account ki Setting >> Security me jaye or login Alerts enable kare. jisse aapka account me jab bhi login ho aapko notification aa jayega.

Alerts chalu karne ke baad aesa notification aata hai agar or kahi bhi koi login karta hai. Email Bhi aata hai or SMS bhi aata hai

4# Code Generator Chalu kare

Is Option ko enable
karne ke baad jab bhi aapko facebook code ki jarurat padegi to aap Apne Mobile
me Facebook App ki setting me ja kar dekh sakte ho.
5# Trusted Contacts
Security me apne 5 Fb
Friends ko add kare, jinpar aapko bharosa ho. Agar kabhi aapke account me login
karne me koi dikkat aati hai to facebook ek ye option bhi deti hai ki aap apne
trusted friends ke pass phone laga kar apna code le.. jo aapke ye friends hai
ise sabse pass alag alag code jayega. usko eksath dalne par account khul jata
hai.. isliye jo bharose ke ho unh ko add kare.

 

6# Registered Browser or App

Is option me Ham jab
Login karte hai to Facebook hamse puchta hai ki kya ye trusted Device hai. Agar
ham usko Yes kar dete hai to wo yaha Save ho jata hai.. Fir ham jab bhi isme
Login karege to hamare pass koi Notification nahi aayega. Yaha Check kare agar
koi aesa Computer Save ho jo aapka naa ho to usko remove karde.
7# Remotely Logout kare

Account ki setting me
ja kar current session me jaye, bha aap dekh sakte hai abhi aap apne account me
kaha par login hai, Jese agar aap apne Mobile me or Computer me Login hai to wo
aap isme dekh sakte hai. Agar aap kisi or ke computer me Facebook chala rahe
the or aap logout karna bhul gaye to aap yaha par ja kar End Activity par click
karke kahi se bhi logouy kar sakte hai.
8# Friends Request Accept nahi
kare

Jo Aapke phecha ke ho
unhi ko facebook par friend banaye, Agar koi aapko friend request bheje to uski
ID phele check kare kahi fack to nahi.. me apni agli post me bataoga kaise
check kare Fack Id hai ki nahi.
Kya Aapko Pata hai
Facebook par 5000 se jada friends nahi bana sakte, Agar aap ke isse jada chane
wale hai to aap Apna Facebook Page banaye
9# Anti Virus Rakhe Computer me
Aapka jo Computer hai
Usme AntiVirus jarur rakhe, Q ki kuch aese virus bhi hai jo agar hamare
computer me aa jaye to hamare computer me ham kya karte hai uski puri jaankari
Net par chali jati hai or jisne us virus ko banaya hai wo puri detail dekh
sakta hai. Agar aapke Computer me Antivirus nahi hai to aap Avast Free Anti
Virus yaha se Download kare.
10# Fack Login Page Par ID
Password Nahi Dale
Kuch Log Facebook par
kisi ki ID Hack kare ke liye bilkul Facebook ki site jesa login Page banate hai
or uski Link send kardete hai jiski ID hack karna hai uske pass. Fir jab wo
usme Apni Facebook ki ID or Password dalkar Login karna chata hai to Login me
Error aati hai or uska ID or Password Hacker ke pass Chala jata hai. Isko Check
karne ke liye ki ye fack login Page to nahi hai apne browser me check kare ki
jo site ki link hai wo https://www.Facebook.com hi ho. Hackers kya karte hai ki
ek aesi se website banate hai jo facebook ke url ki trha lage jese Facedook.com
or uski link send kar dete hai jiki ID hack karna hoti hai. to uske ID or
Password unke pass aa jate hai..
Agar aapko lagta hai
kahi aapne apna ID or Password Fack Login Page par to nahi daal diya to jada
naa soche or apna Facebook Password Change karde turant.
11# Keylogger Se Sabdhan Rahe
Computer ka ek
Software hota hai, jisko Key-logger khate hai. Is software ko computer me install
karne ke baad jitni bhi button dabai jati hai computer me wo sab save ho jati
hai. To agar aap Kisi dusre ke computer me login kare usse phele ye jarur diyan
rakhe ki wo bharose ka admi ho.. khane ka matlab hai ki aesa naa ho usne apne
computer me keylogger install karke rakha ho or aapka password usme ave ho
jaye.. Net Cafe par jarur sabdhar rahe.
12# Account Deactivate karde
Ye jo tarika hai isse
aapke account ki Security nahi badti par agar aapko agar lagta hai to koi bar
bar mere account ko hack karne ki kosis kar raha hai to aap apne account ko
deactivate kar sakte hai, jisse koi aapki Id ko khol kar koi jaankari nahi dekh
payega. Iski Puri Jaankari Yaha hai: Kaise Facebook Account ko Deactivate jare.
13# Apna Email Account Bhi
Secure Rakhe
Jis Email ko aapne
Facebook me use kiya hai usko bhi secure rakhe or uska Password bhi majbut
rakhe. Or apne Email ko Facebook Par share naa kare or usko only me kare.. Isse
aapke account me ek or layer aa jayegi security ki.
Agar aap itni Bato ka
diyaan rakhege to Aapka Account Hack hona bhut muskil hai..
Aare haa, ek sabse
jaruri baat khana to bhul hi gaya Apna Password kisi ko nahi batana hai 🙂